Question:
Agar admi jamat main baad main shirkat karta hay. matlab isha ki 4 rakat namaz main 2 rakat guzarnay kay baad shamil huwa abb us nay 2 rakat akhar wali pari. IMAM nay salam phera to uss nay bhi SALAM pher diya. ab kiya karay? matlab ussay karna to yeh chahiay tha kay IMAM kay salam kay baad apni baqi ki 2 rakat bhi paray lykan bhool kar Salam phir diya ?
 
Answer:
Agar bhool kar salaam phair dia to uth kar baqia rakaat mukammal kar lain aur sajda-e-sahaw wajib ho jae gaLekin agar isliye Salam phera ke Imam ne phera hai to Namaaz dubara ada karen