Question:
|
Main Dubai main aik Construction site per kaam karta houn. yahan aik masjid kay toor per aik bara haal hay uss main bajamat namaz hoti hay main Zuhar or Asar ki namaz udhar hi partha houn. abb mujay yahan per zyda ter Deobandi yani Tableegi miltay hain to aam toor per jamat bhi yehi log karwatay hain. yeh complete to nahi lykan kuch na kuch related to hotay hain Deobandis say abb pouchna yeh hay kay unkay pechay namaz parna kaisa hay matlab unkay aqiad kay baray main kuch nahi kaha ja sakta. may be wo debandi aqaid ko mantay houn ya may be na mantay houn. ya app yeh irshad farma dain kay kisi ajnabi kay pichay bajamat namaz parna kaisa hay kioun kay usakay aqiad ka to pata nahi.
|
Answer:
|
Zaahir hai ke Tableegi Jamaat Deoband Maktaba-e-Fikr ki tarjumaan jamaat hai, unke akaabir ki kai ibaarat namoos-e-risaalat (SalAllahuAlaiheWasallam) aur ehtiraam-e-uloohiat se sakht mutasaadim hai balke shadeed tauheen aamaiz hain.aur phir aapke jo nazariaat hai unko ye afraad kufro-o-shirk qaraar daite hain. Aap batawn jo aapko Musalmaan bhi tasleem na kare balke mushrik kahe,uske peeche namaaz ka kia tasawwur...namaaz to Iman ke baad hai.
|