Question:
Shohar Kay Zabani ya tehriri talaq na denay per agar koi idara/court khula kay order jari kar day tu uski sharaee haisiyat kia hogi. Gunpoint per zabardasti talaq namay per sign karwalenay se kia talaq ho jaygee. court ke khula kay order jari karney se agar talaq nahi hoti aur aurat maaloom honay kay bawajood doosri shadi karley tu kia woh gunah may mubtala hoi. agar ghar waloon ki bhi marzi shamil thi tu kia woh bhi is gunah main baraber kay hisaydaar hongay.
 
Answer:
Jabri Talaaq se mutalliq hamare Fuqaha RehmaullaheAlaihim ka ye qaul haai ke :Jabr-o-Ikraah se dastakhat kar dene magar zubaan se alfaaz ada na kiye to Talaaq waqe na hui-------------Court ki Talaaq yaani Fasakh-e-Nikaah ke hukum ko zikar karne se pehle aap hamen ye bataen ke wo muqadma jo khula ke liye chalaya gaya tha uski noiyat kiya thi