Question:
Zameen agar bechne ki niyyat se qaride to is par zakat nikalna hai ya nahi, aur agar hai to 2 saal se agar wohi zameen nahi biki aur teesre saal bik gayi to teesre saal zameen ki zakat ek saal ki nikalna ya 3 saal ki.
Answer:
Bechne ki niyyat se li gai zameen Maal-e-Tijarat ke hukum main aati hai , is par zakat saal ke pure hone par farz hojati hai...Lihaaza jitne saal tak zameen ki farokht par intizaar kiya tamaam saalon ki Zakaat ada karni hogi.