Question:
Hazrat Ali (RadiAllahuAnh) ko Maula Ali kehna jayaz hai ya nahin ??
 
Answer:
Hazrat Ali RadiAllahuAnh ko Maula Kehna Bilkul Jaiz hai.Kayi Riwayat iss baat ki shahid hain k aap ko Nabi Paak SallAllahuAlihewasallam ne bhi Maula farmaya aur Sahaba e Kiram bhi aap ko Maula kaha kartay thay. Han Allah RabbulAalameen ka Maula hona aur Maana(meaning)main hai yaani Zaati Haqeeqi Istiqlaali aur Bandon ka maslan Hazrat Ali RadiAllahuAnh ka Maula hona Ataai Majazi Maana main hai. Jis tarah Surah Baqarah ki Aakrhi Ayat main Maulana Allah ko Kaha gya hai magar ham har Aalim aur Darhi walay ko Maulana khtay hain. Yaqeenan lafz Maulana dono jaga Mushtarak(Same)hai aur meaning main farq hai. Iss k ilawa aap ye videos bhi dekh skte hain Link no.1 http://www.youtube.com/watch?v=1tBwk4eYik8 Link no.2 http://www.youtube.com/watch?v=DdyHSUeYF2U&feature=related