Question:
Germany ka rule ha k yahan par har janwar ko zibah karnay say pehla current(bijli) lagyee jatee hay. Current itni hotee hay ka janwar marta nahin magar nadhal ho kar gir jata hay. Us ke baad us ko zibah kiya jata hay. Kiya is sorat main ya meet halal hay ya nahin? Is k ilawa chicken ko bhi current lagaya jata hay itni quantity main k agar usay 2 min main zibah na kiya jay to wo dobara normal hoo jata hay, chicken ko zibah machine par kiya jata hay machine chalatay waqt aik muslim taqbeer parh deta hay aur phir baqi zabiha Machine par hee hota hay. Is cheez ka khayal rakaha jata hay k machine par proo gardan na katay. Is situation main btaiya k kiya aisa gosht halal hay ya nahin
 
Answer:
Machine par zabiha jaiz nahin, Halaal nahin. Is liye zaroori hai ke khud apne haath se ZIBAAH kar lain ya kisi aise idaare se haasil karen jahan haath se zibaah ki jaati ho aur QASAAI musalmaan bhi ho.