Question:
Muje Dari [Beard] ke barey me kuch confussion hey ke Dari ki Setting karwana jaiz hey tu kitni limit hey or kia rules hey or mene Kafi Naat Khuwan or Mulana wagera ko dekha he k wo gardan k pas dari ka nichla hisa clean shave karwa lete hain tu kia ye jaiz heyy or Dari Ek Musht kArney ki ijazta hey jab ke Quran me tu sirf Dari per rehm or Mochen Past karne ka hukum hey or ek Hadis se Sabit hey k Ibn-e-Omar Radi ALLAHU takla anhu jab HAJJ or UMRAH se wapsi me unhu ne apni Dari Mubbarak ko Ek musht tak karwaya tha please mere Issalah kijeye JazakALLAH
 
Answer:
DARHI ko Arbi zubaan main Lahya kehte hain aur iska aik maana hai JABRA. Lihaaza poore JABRE par DARHI rakhi jaye gi jisko Lambai main ek musht rakhna zaroori hoga.Gardan ke taraf se Khat itna upar nahin hona chahiye ke jabre ki haddi tak aa jae.Aap ne jo riwaayat zikr ki hain to ek main DARHI rakhne ka hukum hai aur doosre main uski HAD (limit) Zikr ki gai hai