Question:
|
Internet par bohat si girls .. Boys ko bahi bahi bol kr un sy Batian krti hian Maksad tu Agr sirf Islamic Information k lia Contact rakha jae. lakin kabhi kabhi Hansi Mazak Ya Islamic Topic sy Hat kr batian Bhi ho jati hian kia Es trhaan Girls ka Boys ko bahi bol kr contact rakhna Aur phr Hans hans k batian krna theek hy ... ya Haram ... Kioun k es cheez ki tu koi Guranti nahi k Boys bhi theek hi houn .... ? plz es ko Detail sy Clear kr dian ta k Young Boys And Girls k lia Benificial ho saky JazakAllah Azzwajal Thanks
|
Answer:
|
Mazhabi maloomat (Religeous Information) ke liye Mustanad Ulama-e-Karaam hi se rujuu karna chahiye. Tanha ya phir internet par batain karna durust nahin, rahi baat mazhabi maloomat ke husuul ki to agar ye baat maloom ho ke maqsad yaqeenan tehseel-e-ilm hai na ke GupShup to zaroor jawaaz ki Gunjaaish hai.
|